Hello Janvi Ji,
Aksar yeh kisi nutritional deficiency, jaise iron ya zinc ki kami, ya psychological factors ke kaaran hoti hai.
Aapko kya karna chahiye:
- Apne doctor ya nutritionist se is bare mein baat karen taaki wo aapki health check kar saken aur proper treatment ya supplements de saken.
- Apne diet mein iron-rich foods jaise spinach, lentils, or lean meats include karen.
- Agar ye habit emotional ya psychological stress se related hai, toh ek therapist se baat karna faydemand ho sakta hai.